Ek time tha Jab Anil Ambani Apne Ghar Se office Tak helicopter se Jaate the unhone apni wife ko birthday Mein 400 crore ki boat gift ki thi aur 2008 mein Kareeb 2 lakh karod ki networth ke sath vah Duniya Ke sixth richest man the.
lekin FIR agale 10 Salon Mein Jo Hua vah unbelievable tha Dekhte hi Dekhte Unka business Empire collapse Kar Gaya aur Unki net worth siddha zero hogyi akhir vo konsi si galtiyan thi Jisne Anil Ambani ko unke ghutnon per La Diya Aakhir unke shocking downfall ka Karan kya tha Aaiye Jante Hain is video mein…
6 july 2002 ko India ke one of the greatest Businessman Dhirubhai Ambani apni Aakhiri Saanse lete hain, vah 40 sal pahle Keval 500 rupaye ke sath Mumbai Aaye The aur Aaj Apne beto ke liye 25000 karod ka business Empire Chhod Kar Ja Rahe the, Unki death ke bad Kareeb 2 mahine Tak Mukesh aur Anil Ambani Ne sath mein Reliance ko sambhala, lekin FIR unke bich Ki darare Kafi badh Gai Jiske teen Karan the Dhiru baai ambani ne apni death se phele koi bhi will ya succession plan Nahin banaya tha matlab business ko Apne bacchon ke bich Mein divide nahin kiya tha jis Karan donon bhaiyon ke bich business ka control gain karne ke liye disputes chalu ho gaye ..
Conflict ka dusra Karan tha business ke liye donon ka alag alag vision Hona Jahan Mukesh Ambani Telecom Business mein invest karna chahte the Vahi Anil Ambani power generation business ko Grow karna chahte the lekin Reliance ke pass inmein se Keval Ek project Mein invest karne ka Paisa tha aur finally Reliance Ne Telecom Business mein invest Kiya jisse naturally Anil Ambani is Baat se Kafi naraj the ..
Dispute ka Final Karan tha Anil Ambani ki lifestyle
Anil ambani kafi flame point or outgoing nature ke the unhone politics Mein entry Le Li Thi Aur Samajwadi Party ke through Rajya Sabha MP Ban Gaye the also reportedly family Ne Anil Ambani ke film actress Tina Munim se shaadi karne ke faisle ko apose kiya tha lekin unhen Jhukana Pada Jab Anil Ne Ghar chhodane Ki dhamki de di donon bhaiyon ke bich badhate disputes ko Dekhte Hue Unki mother Kokila Ban Reliance Group ko donon bhaiyon Mein equally divide Karne Ka Faisla Leti Hai..
18 June 2005 ke din is batware ko officially public Kiya Jata Hai
Mukesh Ambani ke Hisse Mein Reliance Industries aur IPCL Aati Hai Jo bad Mein combined Ho ke Keval Reliance Industries ke naam se Jaani Jaati Hai Inka kam tha crude oil refining petrochemicals production or oil and gas exploration basically Reliance ka cor business dusri Taraf Anil Ambani ke Hisse Mein Reliance Communication Reliance Capital or Reliance Power Aati Hai in company ko mila kar jo group banta hai use Anil Dhirubhai Ambani group yani ADAJ Kaha Jata Hai Mukesh Ambani ko Aisi companies Mili Thi Jo already massive cash flows aur profit generate kar rahi thi..
Dusri Taraf Anil Ambani ke Hisse mein Aisi companies AI Thi Jinka Current revenue aur profit comparatively kam tha lekin future growth potential bahut Achcha tha ANIL ambani ne itna freedom issee Pahle Kabhi mahsus nahin kiya tha vah ab Jahan Chahe Jitna chate utna investment kar sakte the isiliye settlement ke Keval 2 din bad hi unhone ADAG Mein hajaron karodon ke naye project ki announcement kar di vo reliance power ke through 80000 crore ke power plants Lagane wale the 2000 crore Reliance Capital Mein invest Karne Wale the aur sath mein infrastructure aur entertainment industry mein bhi entry Lene Wale the ine projects ko finance karne ke liye unhone hajaron karodon ka debt yani loan bhi liya tha also Kuchh hi mahine bad unhone Reliance Communication ka IPO bhi launch kar diya tha.
Dusri Taraf Mukesh Ambani Ne Aisi Koi announcement Nahin Ki lekin quietly Apne petrochemicals ke business ko expand Karte Rahe aur Retail Industry mein bhi entry li, settlement ke Keval Ek Sal bad donon bhaiyon ki network bahut Teji se badh rahi thi Mukesh Ambani ki network 8.5 billion dollar Se Badhkar 20 billion dollars pahunch Gai lekin syad vo iss khus nhi the kyuki unke bade bhai abhi bhi Unse 4 places agee the.
Anil Ambani ki net worth Itni Teji se Reliance Communication ke IPO Se Badi Thi Aur 2008 mein ab vah apni dusri company Reliance Power ka IPO laane wale the us Samay Reliance Power 12 alg alg power projects Mein Ek Sath kam kar rahi thi in 12 projects mein se Anil Ambani ka dream project tha dadari project Jo Natural Gas ka us Karke Kareeb 7:30 hazar megawatt ki electricity generate karne wala tha pura hone ke baad World ka largest gas fired power plant banne wala tha company ka future Kafi Achcha lag raha tha isliye Jab January 2008 mein iska IPO launch Hua to 1 minut ke andar andar vah fully subscribe Ho Gaya company Ne Kareeb sade 11 hajr crore rupaye raise kar liye aur yah Apne time ka India ka sabse bada IPO ban gaya.
sath mein Reliance Communication bhi 2008 Tak India ki second largest telecom company Ban chuki thi aur Reliance Capital bhi Teji se grow kar rahi thi basically (ADAG) apni pick mai tha isi ke chalte 2008 mein Anil Ambani ki Networth 18 billion dollar 42 billion dollars yani karib 2 lakh crore Tak pahunch Gai aur vo pure world ke chate (6th) sabse Amir Insan Ban Gaye Mukesh Ambani se Keval ek spot piche anil ambanni ki philosophy thi tezi se sochna or tezi se agee badhna or isi philosophy ne unhone short term Mein successful Bhi Banaya per Shayad apni isi success ko enjoy karte hue vah Teji aur jaldbaji mein Fark karna bhul gaye bahar se Unka business Empire Kafi strong dikh raha tha lekin reality Mein vah Ek ret ke Mahal Jaisa Tha Jo bahut jald dehene wala tha..
Chapter 2 The Fail
2008 mein Anil Ambani ke group ADAG ka total profit Kareeb 9000 crore ka tha
lekin ek problem Thi ismein se 75% profit group ki Keval Ek company se aata tha Reliance Communication se matlab ADAG Reliance Communication per over dependent tha Reliance Communication use Samay 17.5% market share ke sath India ki second largest telecom company Thi lekin 2007 Mein Vodafone ki Entry Aur Airtel ke aggressive expansion ke bad uska market share lagatar Gir raha tha Anil ambani ki Sabse Badi Galti Thi Ki unhone Samay ke sath Reliance Communication ko evolve nahin kiya. Jab 2002 Mein Reliance Communication launch hui thi tab log mobile ko Keval calls ke liye use karte the isiliye Reliance Communication Ne CDMA Communication Technology ka use Kiya Jo calls ke liye better quality aur coverage provide karti thi lekin yah Technology 3G mein bahut slow internet speed provide karti thi aur 4G network ko to support hi nahin karti thi isiliye late 2000 Mein mobile internet usage Badha to log Reliance Communication ko chhodkar Airtel aur Vodafone mein shift Hone Lage .
Anil Ambani Ne fir se hajaron karodon ka debt Lekar GSM Technology Mein shift karne ka decision liya lekin tab tak Shayad Bahut Der ho chuki thi per ye to problems ki shurwat thi Anil Ambani ke liye Agla jhataka Aaya Reliance Power se Reliance Power ke pass dadari aur Shahpur Mein do gas fired power plant the Ye plant Natural Gas ka use Karke electricity generate Karte The lekin is natural gas ki supply ke liye Anil Ambani Keval Ek Insan per dependent the aur vah Insan the unke bhai Mukesh Ambani bantware ke Waqt donon Ke bich Ek agreement Hua Tha Jiske according Reliance Industries 2.3 per unit ke rate per Reliance Power ko Natural gas supply Karegi lekin Mukesh Ambani Ne Achanak prices Ko Sidha double kar diya jisse Reliance Power ka input cost badh gaya aur profitability severely affect Hui Iske response Mein Anil Ambani Ne Mukesh Ambani ke against Bombay High Court mein breach of contract ka case file kar diya aur 2009 Mein vo case jeet bgi gye
lekin Mukesh Ambani Ne Supreme Court decision ke against appeal kar diya 2010 Mein Supreme Court ka order a Gaya aur is bar ye order Mukesh Ambani ke favour Mein Tha Anil ambani ke pass ab mahangi natural gas kharidne ke alava Koi option nahin tha vo is problem se deal Kar Hi rahe the ki tab Hi unhen Ek Aur shock Mila Uttar Pradesh Government Ne 2004 Mein emergency powers ka use Karke kisanon se 2100 ekad ki Jameen acquire Kar Li Thi bad Mein ISI Jameen ko Reliance Power ko de diya gaya tha aur Anil Ambani ISI Jameen per Apna sabse bada project dadri project setup kar rahe the.
lekin FIR 1000 Se Jyada kisanon Ne Allahabad highcourt Mein Iske against case file kar diya Unka pahla objection tha ki government Ne public purposes ke liye land ko acquire kiya tha lekin baad mai use ek private company ko de diya dusra objection tha ki government emergency powers ka galat istemal Kiya jisse unhen farmers se no objection certificate na Lena Pade High Court aur uske bad Supreme Court dono ne kisano ke favour mai decision Diya aur Anil Ambani ko kisanon ko Zameen lautane ka order De Diya As a result unhe dadri project ko discontinue karna Pada aur unhen Reliance Power Mein hajaron karodon ka loss Hua 2015 Tak Reliance Capital ke alava Anil Ambani ki Sabhi companies under perform kar rahi thi GSM Technology Mein invest karne ke bad bhi Reliance Communication ka market share almost Aadha ho chuka tha aur Reliance Power aur Reliance infrastructure Kafi kam profit generate kar rahe the
isi Ke Chalte 2015 Tak ADAG ke upar Kareeb 125000 crore ka debt chad chuka tha in fact 2015 ki house of debt report ke according ADAG India ka sabse Jyada DEBT YANI LOAN Lene wala group Ban chuka tha lekin surprisingly current business ki Itni Buri Halat hone ke bad bhi Anil Ambani Ne nai industry Mein entry Karne Ka Faisla kar liya unhone Kareeb 2000 crore mai pipava defence naam ki company ko khareed kar defence industry Mein entry Li ye na kevel loss making company Thi but sath mein Iske Upar Kareeb 6700 crore ka debt tha bad mein company ka naam badalkar Reliance defence kar diya Gaya aur ismein 5000 karod ki additional investment Bhi ki Gai lekin problem yah thi ki Anil Ambani ko defense sector ka bilkul bhi experience nahin tha aur company mein high debt Ke Karan cash ki Kami thi isliye kabhi bhi unko milane wale contracts time per execute Nahin Kar Paye jis Karan vah company Apne debt ko kabhi bhi repay Nahin Kar Paye aur Barbad Ho Gai defence industry Mein entry Leke Anil Ambani ne apni problems ko Kai Guna Bada liya tha.
2016 mai ADAG jese tase operate kar raha tha Tabhi entry Hui Ek Aisi company ki Jisne Anil Ambani ko jad se Hila Diya or vo company Thi jio Jio ne launch hone ke bad Kai mahinon Tak Logon Ko free calls aur 4G internet diya aur India ke pure Telecom market ko disrupt kar diya Reliance Communication Ki Halat vaise hi Najuk Thi Aur jio ke launch ke bad to Unka complete meltdown shuru ho gaya agale 3 Salon Mein Reliance Communication Ne Kareeb 10 crore subscribers loose kar Diye 2018 Tak unke pass Keval 22000 subscribers Bache The Unka market share practically zero ho chuka tha isliye February 2019 Mein unhone bankruptcy file kar di, isi dauran Swedish telecom company Ericsson Ne Reliance Communication ke against legal action start kar diya tha
actually Reliance Communication Ne Ericsson ko apna mobile infrastructure manage karne ke liye higher kiya tha lekin Kai Salon se unhen payment Nahin Ki Thi 2019 Mein Supreme Court ne anil ambani ko order kia ki vo ek mhine ke ander ander ericsson ko 550 crore pay karne per Aisa Na karne per unhen 3 mahine ki jail ho jayegi Unke jail Jaane ko koi nahin tal sakta tha ki tabhi Aakhiri Din Mukesh Ambani Ne Ericsson ke dues pay kare or anil ambani ko bacha liya Is dauran Reliance Capital Anil Ambani ki last hop Thi but unfortunately 2019 Tak vah bhi Barbad hone ki kagar per Thi. Reliance Capital ke Kai businesses mein se ek business tha corporate financing Jsime vo dusri company ko loan dete the unfortunately unhone hajaron karodon ka loan Anil Ambani ki hi dusri companies ko diya tha aur vah Paisa ab Doob chuka tha also Reliance Capital ki annual reports Mein Paya Gaya ki company Ne hajaron karodon Ka loss hone ke bad Bhi Apne shareholders ko Kareeb 400 crore ka dividend Diya Hai matlab company ko loss Mein chalane Ke bavjud anil ambani usse apni personal wealth ke liye croreo rupaye nikal rahe the aur inhin karnon se Reliance Capital Ka bhi downfall Ho Gaya.
ADAG ki khrab halat ko Dekhte Hue Jin Bank Ne unhen loan diya tha unhone paisa vasulne ke liye Anil Ambani ke against cases file kar Diye Abkuki unki har compony loss mai thi isiliye loan chukane ke liye unhen ek ke bad Ek Apne asset aur Kai bar Puri company bechni Padi lekin ine Sab ke bad bhi 2021 Tak ADAG ji per Kareeb 20000 karod ka debt bacha hua tha aur Aaj Tak is date ke resolution per kam chal raha hai naturally aaj ke din Unki Sabhi companies ke share prices crash kar chuke hain Ek ke bad Ek company Ne bankruptcy file kar di hai aur jo companies bachi Hui Hai Unki performance kuchh khas Nahin Hai.
ese kuch sabut mile hai jiske acording Anil Ambani ke pass abhi bhi karodon ke foreign assets hai jo unhone disclose Nahin Kiye Hain but on paper Unki network na ke barabar Hai Anil Ambani Ek Aise business tycoon the Jo Ek time per Apne ambitions fame Paisa aur power ke liye Jaane Jaate the lekin Aaj Unka business Empire crumble kar chuka hai unhone time rhete apne ache chlte huye business jese rcom ko innovate hi nahin kiya Bina Jyada Soche naye project Ke Liye hajaron karodon ka debt lete chale gaye Kai Aisi companies ko acquire kar liya Jo loss Mein Thi Aur lagatar legal cases aur controversies Mein involved Rahe Aakhir Mein Yahi galtiyan unke tragic decline ka Karan Bani or mai umid karta hu apko ye post se vo sab kuch janne ko mila ho jisse apki knowledge badhi ho.
[…] more article:-The Shocking Downfall of Anil Ambani […]